Question:  Mera ak Dost hai Lahore ka rehny wala hai wo kisi larki k sath 8 9 saal se rabty me ha aur job ki wjha se wo nikkah nahi pa raha tha lekin time ziada hony ki wjha se larki ki shadi kahi aur ho gai aur wo larki husband k sath 1 hafta bhi nahi rahi aur maa k ghar a gai osko maa k ghar 3 month ho chuky hen ab wo larka yeh pochna cha rha ha k larki kehti ha wo talaq le k is se shadi krna chati ha aur yeh b razi ha par dar raha ha k talq ka gunah isk sir pe ay ga ya nahi. aur Larky k maa baba ne aur dosri larki bhi dekh rakhi ha ab yeh kehta ha jis se 8 9 saal se rabty me tha wi best hogi na k new larki. thori mehrbani farma den k ose kiya krna chiy is msly me


Answer

Shadi shuda aurat se nikaah ki khahish rakhna haraam aur najaiz hai. Aisa karna aur us se shaadi ke baad bhi raabte men rehna aur nikah ka wada karna hi us ke ghar ko ujaarne ka sabab hai. Isi liye wo larki wapis bhi nahi jaa rahi. Kisi ke rishte men judayi ka sabab banna aur fasaad daalna ye haraam hai, aur Hadeeth e Paak ki roo se Imaan ko moond deta hai.

“و فساد ذاتِ البین الحالقةُ

آپس میں فساد پیدا کرنا (دین کو) مونڈ دینے والی چیز ہے۔

سنن أبي داود : کتاب الآداب ، باب في اصلاح ذات البین ، (3/344

Isliye in donon ko raabe se gurez karna chahiyeh aur larki ko apne mojooda shohar ke haq men khayanat nahi karni chahiyeh kisi ghair mard se raabta kar ke. Isi tarah usko Allah ke hukm per raazi rehna chahiyeh. Isi men aafiyat hai.

واللہ تعالیٰ  ورسولہ الکریم ﷺ اعلم بالصواب

Written by:  Mufti Syed Siraj Ul Arifeen Shah

St. Ives (Cambridgeshire, UK)

18/08/2024 16:54, 14 Safar, 1446 Hijri

 

Facebook
Twitter
WhatsApp
Visited 69 times, 1 visit(s) today